Monday, July 16, 2007

Umeed to abhi bhi hai


Musibato ke lave me jal raha hai
Mera ek sapna arsh se farsh par gir raha hai
Mera khwabon ka aashiyan mom ki tarah pighal raha hai
Par kya karoon UMEED TO MUJHE ABHI BHI HAI

Abhi mera karwan manzil ke kareeb pahuncha hi hai
Sahil nazar aane laga tha ki manzil ojhal hone lagi hai
Akele bhanwar me mera junoon nistej aur nishabd khada hai
Par kya karoon UMMED TO MUJHE ABHI BHI HAI

Umeed ki ungli pakad kar hi to ye safar tay kiya tha
Kashti kinare par naa pahunch payegi , aisa socha naa tha
Shayad khuda ke fazl ne hi dhoka de diya tha
Par kya karoon UMEED KA DAMAN MAINE CHODA NAA THA

woh insaan hi kya jo umeed chod chuka hai
khud hi apne sapno ke aaine ko tod chuka hai
sochta ye insaan aur uski insaaniyat kya kabhi jaag sakti hai
kya ye aadmi kabhi manuj ban sakta hai
lagti ye batein badi bemaani hai
par kya karoon UMEED TO MUJHE ABHI BHI HAI